JuSt FiNiSh The Story, New Way TO fight
2 posters
Page 1 of 1
JuSt FiNiSh The Story, New Way TO fight
Yaha Per Mai IAik Story Start Kar Rahi Hun
Ap Ne Story Ko agay Barhana Hai Its Verry Intresting
Aik Dafa Ka zikar hai aik Gao mai aik Haseen Larki
Rehti Thi
Ap Ne Story Ko agay Barhana Hai Its Verry Intresting
Aik Dafa Ka zikar hai aik Gao mai aik Haseen Larki
Rehti Thi
Haya- Senior Member
Re: JuSt FiNiSh The Story, New Way TO fight
roz suba uthna, gaye k liye charah lana, doodh dohna, makhan nikalna, ghar walon k liye suba ka nashta banana, kuwein se paana bharna, kheton se sabzi kaat kar lana, dopahar ka khana banana, bhaion ko aur walid ko de kar aana. wapas aa kar ghaye k gobhar se oplay thapna unko sukhanay k liye rakhna aur sukhay hoye wapas la ka store mein rakhna. sahelion k saath beth kar dopahar mein karhayee karna aur us karhayee mein apna aanay walay mustakbil k suhanay sapnay bun na. zindagi bas isi tara khushi khushi kat rahee thi. usey kia pata tha ki ye din us ki aanay wali zindagi ka naksha hi badal de ga. shaam ko jaise hi wo ghaye ka doodh dohnay k liye nikli to achanak uski nazar ne wo manzar dekha jisay wo aaj tak nahin bool payee...
Guest- Guest
Re: JuSt FiNiSh The Story, New Way TO fight
us ne socha k ghar pe bataon, par phir kuch soch kar khamosh rahee. raat ko bistar pe letay hoye b us ko wohi kyaal aatay rahay. ghabrat aur bechaini ne jaise usey apni aghosh mein le lia ho. sakht sardi mein b wo paseena paseena ho rahee thi. "sakeena, beti zara pani to pila de", maan ki awaaz ne jaise usey khayalon k samandar se nikaal kar hakeekat k sahil par utar dia, "acha amma, abhi layee", ye kehtay hoye wo bistar se uthi aur gharay mein se maan k liye pani ka glass nikala aur kamray ki taraf chal pari. aaj zindagi mein pehli baar kamray se akelay nikaltay hoye us ne dar aur khauf ko mehsoos kia. Paani bhartay hoye b wo idhar udhar dekh rahee thi. Anjana khauf us ko charon taraf se apni garift mein liye hoye tha. Jaldi jaldi kamray mein dakhil ho kar maan k bistar ki taraf gaee. “le Amma pani p le”. Maan ne paani us k hathon se liye aur p liya. “jeeti reh, puttar”, maan boli aur wo glass le kar wapas apnay bistar par aa kar let gayee. Lekin neend to shaid aaj us k bistar se koson door thi. Karwat badaltay badaltay akhir neend ki devi us par meharban ho hee gayee.
“Sakeena puttar,” Amma ki awaz ne usey need se jagaya dekha to din apnay pooray jhoban pe tha. Aaj k din mein kuch alag baat thi. Kaam wo kar rahee thi lekin zehan mein wohi kal wala mazar ghoom raha tha. Jaldi jaldi saray kaam nimtanay k baad Amma ko bata kar wo bahir nikli aur kaamo k ghar ki taraf chal di. Dil ghabrahat mein zor zor se dharak raha tha jaise uchal kar bahir hi nikal aaye ga. Maathay pe paseena dil mein khauf aaj sakeena kuch alag hi lag rahee thi.
Abhi wo rastay mein hi thi k aik anjaani awaaz ne usey apni taraf matwajo kia. us awaaz mein kuch aisa tha jis ne usey palat kar dekhnay par majboor kia. “to tu hai wo” us ne jaise hi palat kar dekha…

mager wahan tu koi bhe nahe thaa pher usa laga kaa woe tu us kaa dil-o-dimagh mein is kader bs chuka haie kaa her taraf wie hee dekhaye aur sunaye deta haie
JAHANGEER- Senior Member
-
Re: JuSt FiNiSh The Story, New Way TO fight
Nahin nahin ye wo nahin ho sakta. Sakeena zara soch wo aur idhar. Nahin nahin
tuje galatfehmi hoee hai. Dil kuch keh raha tha aur demag kuch. Isi kashmakash
mein wo chalti hoee us simt mein chal di jidhar se awaz aa rahee thi.
“kon hai tu”, sakeena ne dartay dartay poocha.
“kyun tu idhar thanedarni hai jo tuje bataon k main kon hoon”? us ne bina
paltay jawab dia. Barson baad b wo us awaz k kashish ko mehsoos kar sakti thi. Dil
usko aik baar dekhnay ko machal raha tha. “main kehti hoon idhar dekh, warna?”
us ne dhamki baray lehjay mein kaha.
“tu to waqaee tarhi laga rahee hai,” wo bola… “acha kyun dekhna chahti hai
muje, bata?”…
Demag ne saath nahin dia aur Zuban jaisey talu se chipak gaee ho par dil tha
k har haal mein us ko aik baar dekhna chahta tha… kuch jawab nahin sooja to
boli, tuje pehlay is gaon mein nahin dekha, tu hai kon, jaldi bata warna…

warna warna kiya?
tujhe kiya lagta haie mein yahan kiyou aiya hn
tu shyd kuch bhe nahe jante tujhe tu bs diloon saa khelna aata haie ager dil mein sachi muhabbat hote tu aaj aesa naa kehte.......
tujhe kiya lagta haie mein yahan kiyou aiya hn
tu shyd kuch bhe nahe jante tujhe tu bs diloon saa khelna aata haie ager dil mein sachi muhabbat hote tu aaj aesa naa kehte.......
JAHANGEER- Senior Member
-
Similar topics
» cute StOry
» Newton's Suicide Story !!
» common love story
» Short story of 2 Nalaiq Students
» READ THIS SCARY STORY IF YOU DARE................
» Newton's Suicide Story !!
» common love story
» Short story of 2 Nalaiq Students
» READ THIS SCARY STORY IF YOU DARE................
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|