KSA forum
Welcome to KSAForum,

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.


Join the forum, it's quick and easy

KSA forum
Welcome to KSAForum,

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
KSA forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Maa – Ek Nayaab Hasti

Go down

Maa – Ek Nayaab Hasti  Empty Maa – Ek Nayaab Hasti

Post by Sana Zahid 16th March 2012, 4:03 pm

Mere nazdeek waese to kayee mauzuaat haiN
par aaj dil chahta hae ki Allah ki beshumaar nematoN me se kisi ek par
kuchh likha jaaye. Allah Ta’ala ki besh qeemti nematoN me se har insaaN
ke liye nayaab o afzal rehmatoN waali nemat hae Maa… is anmol, benazeer,
bejod hasti ke mutaaliq likhne ke liye shayad duniya bhar ke awraaq aur
sehaayi bhi purza aur qatra bhar hi hogee… is azeem takhleeq ko baarha
yaad karwaana aur yaad karwaana maqsood hae isi liye Khaliq ne bhi
mutaadid aasmaani kutub, saheefoN me, paeghambaroN ki zubaani, peeroN,
waliyoN, santoN, hrishiyoN, qutuboN, saaleheen, ahl e daanish o fikr ke
zubaani hum aa’m insaanoN ki zehn-nasheene ke liye, hidayat ke liye aur
aagaahi ke liye mutawaatir dohraata rahta hae. ChooNke har insaaN ko
Maalik ki ye meher sirf aur sirf ek baar naseeb hoti hae… isiliye shayad
wo chahta hae ki insaaN is ki qadr o qeemat jane aur har mumkin koshish
kar is ki khushnuwedi haasil kare, khidmat kare, farma bardaari kare,
taazeem kare, lehaaz kare, muhabbat kare, diljoyee kare taaki uski dua’a
jo seedhe arsh e muala tak jaati hae wo haasil kare, be laus shafaqateN
haasil kare, uski goud me sukooN aur jannat ko mehsoos kar sake, wa
ghairah.

Chahta hooN ke Maa ke ta’aluq se mere ehsaasat aur mera nazariya bhi aap
ahbaab ke saamne rakhooN. Mere nazdeek Maa Allah Ta’ala ki wo nayaab
meher o mohar hai jiska saani shayed dono a’lam me nahi(shayed ilhaad se
kaam leraha hooN), par jaesa mae ne kaha ke ye mere ta’soorat haiN isi
liye darguzar kardijiye. Maa na sirf hum ko paeda karti hae balki jab
Hashr barpa hoga to hum usike naam ke saath hisaab ke liye pukaare
jayeNge…yaani Maa wo sahara hai jiski goud se lekar gor tak humeiN
zaroorat hoti hai balki uske baad maedaan e Hashr me bhi, Maa muhabbatoN
ka wo khazina hoti hai jo kabhi khaali nahiN hota, Maa hamdardi ka wo
paikar hoti hai jiska saani mumkin hi nahi, Maa ki muhabbat ka qabil e
qadr hissa kisi aur insaan me nahiN paaya jaata, Maa wo chattan hoti hai
jiske aage duniya ke kai toofan zer hojaate haiN, Maa azm ka wo minar
hota hai jiski zeya kabhi maand nahiN padhti, Maa qidmat ki wo misaal
hai jo har bache ke liye yaksaaN hoti hai. Maa darguzari ki wo inteha
hai jiske neha talaashna namumkin hai, Maa wo dua hai jo sahra me bhi
chashma e aab paida kardeti hai, Maa ghar ka wo sutoon hai jis se ghar
me sukoon hai, khush-haali hai aur raunaq hai, Maa wo mizaan hoti hai
jis me apni karni ko rakh kar apni kaamyaabi ko tola jaasakta hai, Maa
wo barkat hai jiske dast e dua se har mushkil aasaan hoti hai…algharz ek
la-muntahai fahrist hosakti hai…mae tangdasti se kaam lete hue aage
badhta hooN…………

Ab aaiye apne garebaaN me jhaankeiN aur apne aap se sawaal kareN ke kya
hum ne Maa ki azmat ko samjha hae, kya hum ne uska haq ada karne ki
koshish ki (be shak ada karna na mumkin hae), kya hum ne use wo izzat,
shaan, maqaam, aaraam, waqt, muhabbat, khidmat aur kya humne Maa ki
farmabardaari ki hae. Hum me se jinhoN ne bhi koshish ki (sadaq dil se,
riyakaari kiye baghair) to mumkin hae zameer mutmaeeN ho aur hosakta hae
ke Hashr me unko mooH dikha sakeN. Aur jinki Maa abhi ba hayaat hae…wo
ye padhne ke baat apna ehtesaab o islaah kareN ki aaya wo jo kuchh aaj
tak Maa ke liye kiya hae…kya wo kaafi hae, kya koyi aesi khidmat chhoot
rahi hae, kya koyi hukm ki tardeed ho rahi hae, kya koyi khwaahish ki
undekhi ho rahi hae, kya baraabar waqt diya jaa raha hae…al maohim…kya
wo aap se raazi hae? Agar aapko jawaab haaN mile to samjhiye ke aap dono
a’alam me kaamyaab hoNge. Agar kahiN bhi kotaahi hae, kami hae,
laghzish hae, undekhi hae……to jaaiye abhi bhi waqt hae…Maa ke paer
pakadiye aur muaafi talab kariye aur musammam ahd kijiye apne aap se ki
aap mustaqbil me kabhi apni Maa se ghaafil nahi raheNge.
Sana Zahid
Sana Zahid
Senior Member

Rooster

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum