KSA forum
Welcome to KSAForum,

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.


Join the forum, it's quick and easy

KSA forum
Welcome to KSAForum,

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
KSA forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Zamee’n pe Murdey

Go down

Zamee’n pe Murdey Empty Zamee’n pe Murdey

Post by Sana Zahid 16th March 2012, 3:57 pm

Baaz
chehroo’n main Allah itni kashish rakhta hey k lakh koshish kro k na
daikhain ye sahi nahi mager nigah khud ba khud uth hi jati hey, wo bhi
aisi hi thi sub se alag, khoobsurat aur ek dum munfarid,abhi main us k
seher main gum hi tha k kisi ne is zor se koni mairi pasliyoo’n ma mari k
mairi cheekh hi nakal gai,be ikhtiyar main ne ghussey se braber main
daikha mairi class fellow kiran khari thi boli insan bano ziyadha na
ghooro usey kyoo’n khawateen se mar khaney pe tuley ho,mai'n ne pocha
kon hey wo pari paiker ,wo boli Mariam hey us ka naam Aaj kal
haqooq-e-niswa’n k hawaley se is ka buhat naam hey aur jo khawateen ka
izhdiham tum daikh raho ho na ye usey hi sunney aaye hain abhi hum
guftago main masroof hi they k wo mike pe aagai us ki awaz bhi us ki
trha khobsurat thi ya phir mujhey hi us ki her ada bha rahi thi main
kuch yaqee’n se keh nahi sakta aaiye aap ko bhi sunatey hain wo kia keh
rahi hey,

Wo keh rahi hey ” yaha’n bari bari tanzimai’n hain aur ek se ek
khawateen hain jo khawateen ki aazadi k liye sergarm hain mager
taqreeroo’n aur tasveeroo’n aur hamari mazlomiyet,bebasi aur bekasi
dunya ko dekha k apni NGO k liye imdad lainey se ziyadha nahi kia kisi k
pas ye data mojod hey k sale—guzishta main kitni khawateen ney baivgi
ki chader orh li kitney bachey yateem huwey,tras khaney aur izzat dainey
main farq hota hey hum tu wo hain jin pey jib bhi is muashrey main kisi
ney nigah dali tu ya tu hawis ki dali ya taras ki dali,hum khatey
hain,peetey hain,boltey chaltey hain mager hum zindha nahi hum “Zami’n
pe Murdey” ki trha hain jis k barey main log jald hi bhool jatey
hain,hamri maa benai’n jub apney baitoo’n aur bhaiyoo’n k liye rishtey
dhondney nikalti hain tu wo kabhi kisi baiva ko nahi daikhti’n chahey wo
kitni hi khobsurat,ba ikhlaq aur ba salahiyet kyoo’n na ho us k oper
zindagi tamam khushya’n haram ho jati hain kia” us ki awaz bherra gai
hey,aur wo khamoosh ho gai hey shayed apni aankhoon main aaney waley
aansoo’n ko peeney ki koshish ker rahi hey, us ney chock ki taraf ishara
kertey huwey kaha” haa’n yehi wo jagha hey jaha’n aaj se do sal qabl
maira shoher kisi injani goli ka shikar huwa usey tu ye bhi nahi pata
tha k usey kyoo’n mara gaya wo tu mairi liye gajrey lainey nikla tha k
usey gulab k pholoo’n k gajrey mairey hathoo’n main buhat achey lagtey
they,main wo lamha kabhi faramosh nahi ker sakti jub main ney gher k
darwazey pey usey hathoo’n main surkh gulab k gajroo’n ki jagha kuch
logoo’n k hathoo’n main khoon se surkh kaproo’n main us ki lash daikhi
aur phir us din se mairi tamam khushya’n khatem ho gai’n aisi main
akaili nahi aisi khawateen hum her saal hazaroo’n ki tadad main taiyar
kertey hain,in dehshat gerdoon ki samajh main ye kyoo’n nahi aata k is
firing ki zed main un ki apni maa’n aur behan ka suhag bhi tu aasakta
hey aur phir un se barey dehshat gerd tu hamarey itraf k log hotey hain
wo dehshat gerd tu hamin sirf ek bar martey hain mager ye hain ta
zindagi martey hai’n kisi ko hamari khushi ka koi khyal nahi hota kisi
ko na hamari aahai’n sunai daiti hain na hamri rohoo’n ki chikhain
mujhey is muashrey se koi umeed nahi mager main apney rab se na umeed
nahi wo hamarey liye wo Tulo-e Seher zaror laye ga hum jis k intizar
main hain.”

Wo chali gai main jo us ki taqreer sey pehley us k husn k seher main
griftar tha ye jan k k wo ek baiva hey ab is seher se baher aa chukka
tha k aakhir main bhi tu aap logoo’n main se hi ek hoo’n koi juda tu
nahi.
Sana Zahid
Sana Zahid
Senior Member

Rooster

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum