KSA forum
Welcome to KSAForum,

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

baaton baaton mein

Go down

baaton baaton mein Empty baaton baaton mein

Post by haya butt 6th September 2010, 3:55 pm

Baaton Baaton Mein bicharnay ka ishara kerkay
khud bhi roya wo buhat hum say kinara kerkay

sochta rehta hoon tanhai mein anjam-e-khuloos
phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara kerkay

jagmaga di hain teray shehar ki galian mein nay
apnay her ashk ko palkoon pe sitara kerkay

dekh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
aur kuch roz teray sath guzara kerkay

aik hi shehar mein rehna magar milna nahee
dekhtay hain ye azziat gawara kerkay .......!
haya butt
haya butt
Senior Member

Goat

Back to top Go down

baaton baaton mein Empty Re: baaton baaton mein

Post by haya butt 6th September 2010, 3:56 pm

mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
hijr ka khauf be-matlab vasl k khawab be-maani

koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hay
usay kiun khamoshi kahiye k jis main baat rehti hay

yeh aansoo be-zuban aansoo bhala kia bol saktay hain
kahan dil main kisi ki yaad se toofaan uthtay hain

kahan palkon k saaye main nami din raat rehti hay
kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hay

mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
magar jab aaj barson baad main ne us ko dekha hay

k us ki jheel aankhon main hijr ka khauf rehta hay
vasl k khawab rehte hain wahan barsaat rehti hay

yun lagta hay kayee raaton se woh soyee nahi shayad
yun lagta hay kisi ki yaad ab din raat rehti hay

or us ki narm palkon k haseen saye bhi geelay hain
or us ki khamoshi aisi k jis main baat rehti hay

mujhay ab woh nahi kehti mohabbat kuch nahi hoti
k ab shayad mohabbat ki woh sab ramzain samajhti hay......!!!
_________________
haya butt
haya butt
Senior Member

Goat

Back to top Go down

baaton baaton mein Empty Re: baaton baaton mein

Post by haya butt 6th September 2010, 3:56 pm

kuch kehte hain aur karte kuch hain
hum tum saare log munafiq

rishton ke, halaat ke dushman
jin baaton se dil darta hai

un baaton ko soch ke
khud kehte hain, yun hoga to mar jaeinge

lekin ik din, chupke se jab, bin batlaey
sach much aisa ho jata hai

khuwab hamara
koi adhoora reh jata hai

koi pyara
mitti orh ke so jata hai

tab bhi hum tum
aankhon se kuch khoon baha kar

afsurda veeran se ho kar
zinda phir bhi reh jate hain ........
haya butt
haya butt
Senior Member

Goat

Back to top Go down

baaton baaton mein Empty Re: baaton baaton mein

Post by haya butt 6th September 2010, 3:57 pm

Kuch Masoom Say Jazbey Hain
Kuch Un-dekhay Sapney Hain,
Mager Woh Naheen Janta Shayad...!!!
Meri bhi Zindagi To ............ .Hai..!!! !!!

Tufan mein kashti ko kinare bhi milte hain
jahaan mein logon ko sahare bhi milte hain
duniya mein sabse pyari hai zindagi
kuch log zindagi se pyare bhi milte hain.

Har kadam pe imtihaan leti hai Zindagi
Her waqt naye sadme deti hai Zindagi
Hum Zindagi se shikwa kaise kare?
Aap Jaise Pyaare Dost Bi tho deti hai Zindagi.

Zindagi mein hamesha naye log milenge
Kahi Zyaada tho kahi kam milenge
Aitbaar zara sochkar karna
Mumkin nahi her jagah tumhe hum jay sa hi dost milegi

haya butt
haya butt
Senior Member

Goat

Back to top Go down

baaton baaton mein Empty Re: baaton baaton mein

Post by Sponsored content

Sponsored content

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum