Paas aa kar kaha us ne
2 posters
Page 1 of 1
Paas aa kar kaha us ne
Paas aa kar kaha us ne chalo phir pyar karain
Phir na roothain ge isi baat ka iqrar karain
Ham na dikhlaayen ge ghusay se bharay tevar ab
Aap anaaon ki parastish main na had paar karain
Par achanak se ye badlaao kahan se aaya?
Kis tarah socha keh ab raah ko hamwar karain!!!
Aik doojay ki muhabat main giraftar hain jab
Kis liye jhagrain muhabat bhraa sansaar karain
Kab talak daikhain gay ik doojay ko khaamoshi se
Khamoshi tor kay aa pyar ka izhaar karain
Sun meri jaan hay har shakhs hi tyaar yahan
Praim dewanon pe har haal main bus waar karain
Aao is umr main anjaam pe kuch ghaur karain
RAB ko raazi karain aankhon ko gohar baar karain
Ham ko jiwan jo mila hay ye karam hay RAB ka
Naik aamal ka aaina ye kirdar karain
Aao rishton ki nazakat ko bhi mehsoos karain
Halki baton se khari kiyun koi deewar karain

mehboob- Senior Member
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|