wo muskura chukay hain
2 posters
Page 1 of 1
wo muskura chukay hain
Hum aah bhar chukay hain, wo muskura chukay hain
do mukhtalif iraday tewar dikha chukay hain
aye daastaan-sara ab kissay ko khatam ker de
bhatkay huway musafir manzil pe aa chukay hain
ab kya ulajh sakay ga humse ghame-zamaana
hum teray gesuoon ke halke mein aa chukay hain
aye shorishe-talatum, ab kisko dhoondti hai
muddat hui safeenay saahil pe aa chukay hain
ab dil ki khalwaton mein tum aa ke kya karo gay
hum aarzzuon ki shammain kab se bhuja chukay hain
mehboob- Senior Member
Similar topics
» Taras gaye hain
» hum tou ek dhool hain
» Hum Wo Be-Dard Hain
» Mar Jaate Hain
» Tumhari aankhain kehti hain
» hum tou ek dhool hain
» Hum Wo Be-Dard Hain
» Mar Jaate Hain
» Tumhari aankhain kehti hain
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|