woh maza
+2
JAHANGEER
haya butt
6 posters
Page 1 of 1
woh maza
woh maza nahin hai saath chalnay mein
jo maza kisi ka saath nibhanay mein hai
woh maza nahin hai tanha honay mein
jo maza mehfilain sajanay mein hai
woh maza nahin hai tere ronay mein
jo maza us ke muskuranay mein hai
maza us mein nahin ke us ko tum chaho
maza us ke tum ko chahnay mein hai
jo maza kisi ka saath nibhanay mein hai
woh maza nahin hai tanha honay mein
jo maza mehfilain sajanay mein hai
woh maza nahin hai tere ronay mein
jo maza us ke muskuranay mein hai
maza us mein nahin ke us ko tum chaho
maza us ke tum ko chahnay mein hai
haya butt- Senior Member
-
Re: woh maza
Dedicated ti angel Khan
teri aankhon se mujh ko sharaab peeni hai
jee bhar ke aaj yeh khana kharab peeni hai
en se keh do ke aaj barsain jee bhar ke haya
aaj hi kambakht deewana waar peeni hai
teri aankhon se mujh ko sharaab peeni hai
jee bhar ke aaj yeh khana kharab peeni hai
en se keh do ke aaj barsain jee bhar ke haya
aaj hi kambakht deewana waar peeni hai
haya butt- Senior Member
-
Re: woh maza
saaqi sharab peenay de masjid mein beth kar
ya woh jagah bata jahan par khuda na ho
ya woh jagah bata jahan par khuda na ho
haya butt- Senior Member
-
Re: woh maza
shaam ko pee aur subha touba kar lee
rind k rind rahay haath se masjid bhi na gai
rind k rind rahay haath se masjid bhi na gai
haya butt- Senior Member
-
Re: woh maza
haya butt wrote:shaam ko pee aur subha touba kar lee
rind k rind rahay haath se masjid bhi na gai
sorry aap ney yeh shair ghalat perha hey
yeh yoon hey
shaam ko pee or subha ko toba ker li
rind key rind rahey hath sey jannat na gai
rani- New Member
Re: woh maza
haya butt wrote:saaqi sharab peenay de masjid mein beth kar
ya woh jagah bata jahan par khuda na ho
yeh bhi yoon hey
waaiz sharab peeney dey masjid main baith ker
ya woh jagha bata dey jahan per khuda nahin
masjid khuda ka gher hey yeh peeney ki ja nahin
kafir key dilmain baith key pi wahan per khuda nahin
waisey yeh section to shayad zati poetries share kerney ka nahin hey
rani- New Member
Re: woh maza
rani wrote:haya butt wrote:shaam ko pee aur subha touba kar lee
rind k rind rahay haath se masjid bhi na gai
sorry aap ney yeh shair ghalat perha hey
yeh yoon hey
shaam ko pee or subha ko toba ker li
rind key rind rahey hath sey jannat na gai
Thanks for correction
haya butt- Senior Member
-
Re: woh maza
maza kab bheer main aata tha mujhko
so apni ek alag duniya bana li
jisay chaha khayaloon main basaya
jahan chaahi wahan mehfil saja li
kabhi daikha na usnay mairi jaanib
hazaron baar qismat aazma li
hai laazim chaand par ho daagh koi
yeh keh kar zulf aariz par gira li
sitam daikho hata parda na ek pal
faqat ek deed kay thay hum sawali
usay main nay kabhi daikha nahi hai
bus ek tasweer si dil main banali
so apni ek alag duniya bana li
jisay chaha khayaloon main basaya
jahan chaahi wahan mehfil saja li
kabhi daikha na usnay mairi jaanib
hazaron baar qismat aazma li
hai laazim chaand par ho daagh koi
yeh keh kar zulf aariz par gira li
sitam daikho hata parda na ek pal
faqat ek deed kay thay hum sawali
usay main nay kabhi daikha nahi hai
bus ek tasweer si dil main banali
Sonia- New Member
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|